• Shadi ke 5 mahine main hi sasural walon ne jalakar maar dala

Mahoday,
Meri ek restedar Mamta (22 years) ko uske dono dever aur nanad ne mar 22 August sham ko jalakar mar dala. Mamta ki shadi 5 April 2016 ko Barout ke Nitin Garg ke sath hui thi. Dono Dever aur Nanad ke bare main usne bahut bar bataya ki wo log use bahut paresan karte hain, lekin uski baton ko sabhi ne halke main liya, Mamta ke maata pita dono nahi hai. mamta ka saga bhai Birender berojgar hai, ek choti bahin hai jo gaon main hai. Doshi logon ke dabab main aakr enhone report wapas le li. Ye parivar bahut garib hai. Wahan ke mohalle ke logon ke anusar mamta ki hatya ki gayi hai. Kal sam tak post mardam bhi nahi hua tha, ye log wahan se wapas aa gaye ki case karenge to kharcha hoga aur uska bhai berojgar hai, kaise case ladenge.
Mahoday hum ye janna chahte hain ki kya abhi bhi hum delhi main case file kar sakte hain? aur humara kitna kharcha aayega? kya hume sarkari madad mil sakti hai? Kripya humari madad karen taki Mamta ko ensaf mil sake.

Dhanyawad!
Gopal Thakur
Link:
http://www.amarujala.com/uttar-pradesh/baghpat/.V7yHQuMqi5M.facebook
Asked 7 years ago in Criminal Law
Religion: Hindu

First answer received in 30 minutes.

Lawyers are available now to answer your questions.

9 Answers

1) ladki Ka bhai police me complaint kar sakhta hai ki usko behen ko uske pati , devar ne mar Dala

2) police post Mortem ki report ke baad FIR lodge karegi

3) unke Paro aur devar ke against case file karegi

4) Aaapka ko Kharcha nahi hoga

5) police agar case nahi file Karti hai tau commissioner of police me complaint karna

Ajay Sethi
Advocate, Mumbai
94689 Answers
7526 Consultations

5.0 on 5.0

Case to wahin chal sakta hai jahan hatya huyi hai. Kyunki usek relatives ne dabav mein aakar case wapis le liya hai, koi bhi vyakti police mein complaint kar sakta hai. Murder ki complaint victim ke relatives wapis nahin le saktey. Kisi local advocate ko engage karein aap;

Ashish Davessar
Advocate, Jaipur
30763 Answers
972 Consultations

5.0 on 5.0

aap ko aisa likh ke nahi dena tha ke aap case nahi karna chayte hain

2) ladki ke friends aur ghar wale sab police station jao aur case file karo

3) poilice inspector case darj nahi karta tau senior police officers ko complain karen

Ajay Sethi
Advocate, Mumbai
94689 Answers
7526 Consultations

5.0 on 5.0

Dear Gopal Ji,

In reference to your query above and a revert call to your phone number from my office hope your have got answers to all your queries.

Best of Luck.

Atulay Nehra
Advocate, Noida
1308 Answers
58 Consultations

5.0 on 5.0

You can then go to the police station to lodge the FIR, If police refuses to lodge the FIR then a criminal complaint can be directly filed in the court.

Ashish Davessar
Advocate, Jaipur
30763 Answers
972 Consultations

5.0 on 5.0

App bilkul Dehli may case kar saktehai and kuch bhi karcha nahi hoga. Jaldse jald Sambandhith Police station may dowry death ka complaint dena chahiyeya. Uski copy higher police officers, home minster aur high court ke chief judge ko register post may bhejana chahiye. FIR darg ho ga inquiry hogi aur tab jake dever and devrani ko arrest karegnge. Jaldse jalde mamatha ke mata pita yani tum jake complint kijiye.

Lakshmi Kanth
Advocate, Hyderabad
446 Answers
15 Consultations

4.7 on 5.0

aap ya aur koi bhi gharwala Delhi police commissioner ko aur SSP Baghpat ko complaint kar sakte hai isme kuchh kharcha nhi aayega sirf type karne ke paise lagenge, agar hath se likh kr bhi complaint doge to wo bhi nhi hoga, jab case chalega to sarkari vakil mil jaega free of cost, to jitni jaldi ho sake complaint kr do. insaf jarur milega.

Nadeem Qureshi
Advocate, New Delhi
6307 Answers
302 Consultations

4.9 on 5.0

Since this is a death within a year of marriage, the police would have automatically filed the case, if not you can lodge a criminal complaint against all those responsible for this grievous crime.

You need spend any money for this state prosecuted case.

The police will take care of this case.

T Kalaiselvan
Advocate, Vellore
84890 Answers
2190 Consultations

5.0 on 5.0

Sir Case ragister nahi hua tha. jo log wahan gaye thei unse police walon ne ek sade paper par rajinama likhwa liya tha ki hum koi case nahi karna chahte. Post Mortem bhi sham tak nahi hua tha.abhi humne post mortem ki report nahi dekhi hai.

If you are keen to punish the culprits, you may initiate a complaint with the local police or the top police of the district and also can take the help of some mahila NGOs to get the victim justice.

T Kalaiselvan
Advocate, Vellore
84890 Answers
2190 Consultations

5.0 on 5.0

Ask a Lawyer

Get legal answers from lawyers in 1 hour. It's quick, easy, and anonymous!
  Ask a lawyer