• How can I settle a marriage dispute?

Sir,
        Mai noida me job karta hu or 3 years se yahan akela rent par rahta hu, mere mama bhi with family yahin rahte hain or last 2 year se meri unke sath ladayi chal rahi hai jiski mai do baar Police me Complaint bhi kar chuka hu. or finally un logo or un logon ki vajah se mai job nahi kar pa raha hu or mera divorce case bhi ho gaya hai. Wo log mujhe Noida me rahne bhi nahi de rahe hain. 
Meri un logon se jo ladayi hai uski detail-
        Wo log bachpan se hi mujhse kahte aaye the ki mai unki ladki Rachna se apne parents ke against jaker marriage kar lu. Jab mai Noida job karne gaya tab Rachna ne mujhe propose kiya, mai bhi use like karta tha isliye maine accept kar liya, iske baad mere or Rachna ke beech me "Marriage like Relationship" ban gaya. Idhar mere parants ne meri marriage tay di. Jis din mai mai apni shadi ke liye Noida se ghar aanewala tha us din Rachna mere room par aayi or mujhe dhamki di ki abhi mere mere sath abhi shadi karo chalkar nahi to mai isi room me sucide kar loongi or mere room me rakha samaan uthakar todne lagi, poori building me tamasha hone laga isliye maine uski baat maante huve Noida ke mandir me marriage kar li lekin us marriage ko court me register nahi karva saka. Usi raat mai apne ghar Kanpur aa gaya jahan par meri shadi Pooja ke sath ho gayi. Shadi ke baad jab meri wife Pooja mere sath mere room par rahne aayi to Rachna mere room par meri wife se ladne aa jati or usse kahti ki mai Alok ki pahli wife hu tu yahan kyo aayi hai, wo meri wife se khud pahli wife hone ka hak maangti thi or kahti thi ki tum Alok ko divorce de do mai uske sath rahoongi or jab tumhara divorce ho jaye to uske paper mujhe dikha du. Rachna mujhe phone karke dhamki deti thi ki Pooja se divorce lo nahi to mai tumhe doosri shadi karne or sexual harassment ke case me jail me band karva doongi.
        31 May 2013 ko subha wo log mere phir se mere room par aaye or kafi ladayi karne ke baad meri bike utha le gaye jiski maine police me complaint ki to policewalon ne meri bike dila di or hmare beech compromise hua ki ab wo log dobara hame pareshan nahi karenge or ham log Noida me nahi rahenge.
        06 June 2013 ko Rachna ne dobara ham logon se compromise kiya or meri wife ko call karke kaha ki tum Alok ko divorce de do mai Alok ki first wife hu mai uske sath rahoongi, jab divorce ho jaye to uske paper mujhe dikha dena. In sabse tang aaker meri wife or uske gharwalon ne ham logon ne par jhooth bolkar shadi karne ka aarop laga diya hai or last 6-7 monthe se dono family divorce karne par baat kar rahe hain or finally abhi 25Feb2014 ko hmara mutual case file ho gaya hai or one time settlement me hame 6Lakh rs unko dene hain. Meri wife ne mere sath rahne se saaf mana kar diya hai.
        Ab problem ye hai ki divorce ki baat jab maine Rachana or uski family ko batayi or unse baat karne ki koshish ki to wo log na to khud baat kar rahe hain or na rachana se meri baat karne de rahe hain. Last time jab meri Rachna se baat huyi thi to usne mujhse kaha tha ki mujhe divorce paper dikha do mai tumhare sath rahne aa jaaungi. Maine jo bhi likha hai use prove kiya ja sakta hai.
Kya mai kisi legally tareeke se unko approach kar sakta hu or Rachna ne ham logon se 06 June ko jo compromise kiya tha use poora karne ke liye force kar sakta hu? 
Or ab agar Rachna meri first wife hone se mana karti hai to kya mai uske against koi case file kar sakta hu kyoki usne meri wife k saamne khud ko meri first wife bana rakha hai?
Agar Rachna first wife hone se mana karti hai to kya mai money claim ka case kar sakta hu  or Mujhe un logon se apni safty karne ke liye kya legally step lene chahiye?
Plzzz advice me.
Asked 10 years ago in Family Law
Religion: Hindu

2 answers received in 1 hour.

Lawyers are available now to answer your questions.

6 Answers

akhir jya vajah hai ki rachna aap sai bath nahi kar rahi hai,kya woh aap ke sath nahi rahna chahti.vaise legal action aap leh sakte ho lakin uska faida tab hai agar rachna aap ke sath rahne mai interested ho.aap both lucky ho ki aap ek bahut bade bawal sai bach ga a.shadi a koi proof hai aap ke pass,agar rachna nahi aana chah ti to aap aap apni current wife ke sath kyo nahi rah te

Rajeev Bari
Advocate, New Delhi
1506 Answers
92 Consultations

4.6 on 5.0

aap ne badi galti ki rachna ke saath shaadi karne ke baad dusri shaadi kar li . aap ki dusri shaadi illegal hai . aap 6 lakhs paise dekh kar bach gaye ho . nahi tau aapko jail jana padta yaadi aapki second wife aap pe bigamy ka case dalti .

yaadi rachna aap ke saath nahi rehna chaati aap force nahi kar sakhte . aap divorce case file kar dena apni first wife rachna ke against agar woh aap ke paas nahi rehna chaati . .

Ajay Sethi
Advocate, Mumbai
94522 Answers
7485 Consultations

5.0 on 5.0

contact a lawyer personally.

Nadeem Qureshi
Advocate, New Delhi
6307 Answers
302 Consultations

4.9 on 5.0

I will also suggest to go to some lawyer,though legal position has been told to you above on the basis of details given by you.It is a fact that you are in problem,created by you.

Anil Gupta
Advocate, New Delhi
180 Answers
41 Consultations

4.5 on 5.0

Your second marriage is entirely illegal as you had not divorced your first wife before remarrying. You cannot coerce your first wife to live with you if she is not ready to do that. It will be better for you to file for divorce against your first wife, and then remarry.

Ashish Davessar
Advocate, Jaipur
30763 Answers
972 Consultations

5.0 on 5.0

aap apni pahli patni per section 9 hindu marriage act main apne saath rakhne ke liye case kar sakte ho agar wo phir bhi court main na karti hai to issi wajah par aapka divorce ho sakta hai. aap noida ke lawyer jo ki main hoon se miley

Avdhesh Chaudhary
Advocate, Greater Noida
565 Answers
20 Consultations

4.6 on 5.0

Ask a Lawyer

Get legal answers from lawyers in 1 hour. It's quick, easy, and anonymous!
  Ask a lawyer