• Husband wife

Dear sir,
meri sister ka husband usko maarta hai pret ta hai...meri sis ki ek ladki h 3 saal ki ...ladki k janam k baad meri sister k husband ne uske 3 baar abortion kraaye hai..aur ab wo kehta hai k chahe kuch bhi ho jaye mujhe esle sath nahi rehna..humko divorce nahi krana apni sister ka hum kya kee.
Asked 10 years ago in Family Law
Religion: Hindu

First answer received in 30 minutes.

Lawyers are available now to answer your questions.

6 Answers

Aapke chahne se kuch nahi hoga. Agar aapne abhi action nahi liya to ho sakta hai kal aapki sis ki life safe na ho. Stop day dreaming. Immediately police complain karne ke baad domestic violence ka suit court me file kariye. And pl uske kahne par suit ya complain wapas mat lijiye warna second time aapke paas koi rasta nahi rahega. How can you think of leaving your sis in such a situation and what your parents are doing?

Rajni Sinha
Advocate, Mumbai
425 Answers
39 Consultations

4.6 on 5.0

aap dehez aur mar peet , abortion ke liye police complain karien. DV act ka case dal kar maintenence aadi cheezon ki maang karen

Avdhesh Chaudhary
Advocate, Greater Noida
565 Answers
20 Consultations

4.6 on 5.0

woh aapki behen ko aise tang nahi kar sakhta . agar aap ki behen ko marta hai aap ki behen ko police me complaint karna chaiye uske khilaf .

DV case file karo . protection order lo . aur gahra me rehne ka order bhi . maintenace bhi mang sakhti hai aapki behen .

Ajay Sethi
Advocate, Mumbai
94723 Answers
7535 Consultations

5.0 on 5.0

Apni behan ko kahoi ki wo apney pati ke khilaf police mein complaint file karey marney pitney ke liye. Iskey saath wo domestic violence ka case bhi file karey residence aur protection hasil karney ke liye. Aaap ki behan maintenance ka case bhi file kar sakti hai.

Ashish Davessar
Advocate, Jaipur
30763 Answers
972 Consultations

5.0 on 5.0

Aap ki bahan fauran DV case file kare . protection order le . aurghar me rehne ka order nahi to alag rahne ka kiraya bhi . maintenace bhi mang sakhti hai aapki behen , maar peat aur abortions ke liye compensation bhi maang sakti hai..

S.P. Srivastava
Advocate, New Delhi
703 Answers
13 Consultations

4.7 on 5.0

1. Ap bahen se kahiye ki turant police me dahej ke liye atyachar ki report likhaiye under section 498A of IPC,

2. DV Act ka anusar marpit ka, maintainance ka our dusra ghar ka adhikar ke liye mamla file karneko kahiye,

3. Divorce deneme inkar kijiye agar uh raji khushi divorce ke liye kuch bole.

Krishna Kishore Ganguly
Advocate, Kolkata
27219 Answers
726 Consultations

5.0 on 5.0

Ask a Lawyer

Get legal answers from lawyers in 1 hour. It's quick, easy, and anonymous!
  Ask a lawyer