Interim maintenance u/s 24

Sir, mera divorce case court me chala jisme mene sec 24 dayar kiya aur court ne mere husband ko 3000/-?per month dene ke aadesh kiye, jiske baad mere husband ne sec 9 aur domestic voilence ke order mere paksh me hone ke baad bhi durbhi sandhi karke femily court se divorce ke order parit karwa liye,jiski first appeal with in one month high court me admit ke gaye. Appeal me husband ke present hone ke baad apna jhoot pakde jane par har date par naya advocate khada karte rahe woh na to high court me apna written statment de rahe hai aur na he interim maintenance de rahe hai. Jiske shikayat court me karne par court ne high court me addmit appeal ko dekhkar husband ke against recovery warrent jaare kiye, jiske baad husband ne niyat tithi se ek mahina pehle jhuthe tathy prastut karke warrent ko stay karva diya. Ab judge ka kehna hai ki hamare court se divorce ho chuka hai isliye aapko interim maintenance ab nahe milega ab aapko jo bhi lena hai high court se jakar lo. Sir please tell me kya mujhe high court me sec 24 application lagana padega.