6 Shop Khali karvana

Pranam 🙏🏻 Hamara Chota Mandir haii, Trusty Meri Mammy hai . Mere Nana ne jb Shop banai thi tb unhone 10000 /15000 ki Deposit leke sirf 150 Rs me sari Shops 11 months ke agreement banva k rent pr di , kirayedar ko ab nahi rent badhana , nahi agreement renewal karvana , nahi Khali karni , hamari sari shop ki Wall tuti hai, ciling me plaster nikla huaa hai , pr fir bhi, hame shop ko nai nahi karne dete . Or hamari dukan pr unhone dusari dukan, gadi , Bangla sb liya , sb ki apni shop hai pr , hamari Khali nahi karni , meri galti ye Hui ki 2021 me mene ek advocate pr Bharosa kar ke sb ko notice di , pr us ne civil ki jagah pr criminal jesi notice banai thi . Jo ham kanuni bhasha samaj na paye , ab ham naye advocate jo civil k bahot jankar , experience, or bahot hi bade advocate hai unhe hamara cash shopa hai . Pr unhone muje ab nai notice bhej ne k liye mana Kiya hai , or sidha Cort cash k liye kaha hai, or purani jo galat notice bheji thi us pr hi cash aage badhayenge aesa kaha hai . Kya Vapas nai notice nahi bhijva sakte ?? Kya muje hamari sari shop vapas milegi ???