Please help me

Maine apni purani building jiska map approve tha ki gallery ko thoda jo ki pehle 3feet thi ab 5feet kar di jiske liye municipality ne mujhe pe illeagal construction ka court case kar diya jabki 2 illegal construction ke proof mere pass hain municipality ne aaj tak kabhi kisi pe case nahi kiya mere alawaa. fir municipality ne case withdraw kar liya ki MC ne meeting mein case withdraw karna decide kiya yeh bayaan court mein kar diye. Uss meeting ki copy mere pass hai jisme likha hai ki maine letter diya hai ki jab meine construction shuru ki tab mujhe rules ka pataa nahi tha ki construction shuru karne se pehle TCP or MC se construction ki approval leni hoti hai aur ab usne likh ke diya hai ki jab tak wo map MC se approve nahi karwa leta tab tak koi construction nahi karega iss mein JE ki report aa gayee hai MC uss report se agree hai sarvsamiti se nirnay hua ki kyonki usne kaam band kar diya hai aur usne maana hai ki agla construction map approve karwa kar hi karega isliye jo case kar rakha hai usse bapis liya jaana savikar hua iss par MC apne level par agaami karyawahi karke case ka niptara kar legi. ab meine jab map approval ke liye diya to MC ne yeh wapis kar diya ki aapne jo illegal construction kar rakhi hai ka samadhan nahi ho jata tab tak map approve nahi kiya ja sakta PLEASE mujhe guide kijiye ki mujhe kya karna chahiye