Dhara 363, 366 aur 493 ka vivran janne hetu.

Dear sir, Maine 26 /05/13 ko apne parivaar ko bina suchit kie shiv me shaadi ki thi. Fir maine 10 mahine tak apne maike me hi rehkar apne ma papa ko convince karne ki bahut koshish ki, par wo log nahi mane. Fir 16/03/14 ko main maike chhor kar apne pati ke saath rehne aa gayi, or court me hamare shaadi ka registration karwaya, jisme 3 witness mere pati ke janne walo ne dia hai. Aur mere papa 16/03/14 ko meri saas or mere pati pe dhara 363, 366 laga kar in par case kar die hai. Maine 164 k bayan me or magistrate sir k samne v... ye bayan dia hai k maine apne swechha se shaadi ki hai. Ab18 mahine mukadma chalne ke bad mere papa court me ye bayan de rahe hai ki... 1. Meri beti us ladke ke changul me reh kar ye sab bol rahi hai. 2. Meri beti ko ye log bhramit kia hua hai ke ye shaadi suda hai, isliye main ladke pe dhara 493 lagana chahta hu. 3. Or pata nahi kya karke police ko v apne saath mila liya hai isliye fir se investigation kia jae. A. Sir ab mera sawal ye hai ke kya mera bayan mayne nahi rakhta jabki main balik(28yr) hu. B. Jab main apne hoso-havas me ye bayan de rahi hu k maine apne swechha se shaadi ki hai to kya papa ka lagaya hua 493 valid hoga? Jabki mere pass court se dia gaya marriage certificate or mandir me kie gae shaadi ke photograph v hai. C. Sir kya ye mukadma mere haq me aane ki sambhawna hai? Please sir suggest me mujhe aage kya karna chahiye.....