Makan se bahar nikalne ke raste me problem

Mere father ke 5 sons hain. Unhon ne apni zindagi me apne residential property me elder son ko makan banane ki jagah de di aur unhon ne apna makan bana liya. Doosre son ne bhi unki zindagi me apna makan unki di hui jagah per banana shuru kar diya. Teesre ne bhi apna makan bana liya aur kuch makan ka hissa already apne father ne bane hue makan me diya. Usi tarah 4th son ko already bane hue apne makan ka 3 rooms diya aur 5th son ko bane hue makan ka kuch hissa aur vacate land makan banane ke liye diya. Sabhon ke ghar se nikalne ka rasta bhi clear likh diya. Yeh sari cheez unhon ne apne wasiyat nama me plain paper per likh dala hai. Father ki death ho chuki hai. Second son ne apna makan ka kaam pura kar liya hai. Uske makan se bahar nikalne ka rasta 4 feet wide father ne paper me likha hua hai. Us raste ki zameen ka kuch hissa 1 feet hai baqi 3 feet ko clear karne me father ke bane hue us makan ka kuch hissa aa raha hai jo 3rd bhai ke possession me hai. Shuru me father ke death ke baad usne yahi kaha ke koi baat nahi father ne 4 feet aap ko rasta kaha hai to aap old makan ke us hisse ko tor kar le len mujhe koi objection nahi hai. Ab jab mujhe raste ki zaroorat hai to woh problem create kar raha hai. Mera makan tayyar ho chuka hai lekin ghar se bahar nikalne ke raste me usne hurdle khara kar diya hai. Aisi soorat me mujhe kiya karna chahiye.