Old property's case

Mujhe ek jamin vivid pe kanun ke vishay me jaankari chahiye. mere dada ji ne jamin nahi bechi aur wo teen bhai the. unke ek bhai hamesha unke pita ji se lad kar jamin bechte the. aur paper pe unke pita ji gusse me likhte the ki yeh hum se alag hai aur jamin bech rahe hai. par batwara jaisa kuch hua nahi jisme sab ka jamin bata jaye. sab kuch pure gaun ko pata tha ki maukhik batwara hai har jamin k 5 hisse hai 3 hissa 3 beto ka aur 2 hissa unke pita ji ne apne aur apni patni ko diya tha. aaj tak waise hi sab kuch chal raha tha. unke bete advocate hai aur case kar k sari jamin apne nama karwali aadhar banaya ki ab jo bacha hua jamin hai wo sab unka hai ghar bhi. wo keh te hai ki baki do bhai aap log ka batwara nahi hua tha aur mera paper me likha hua hai ki hum alag the. dada ji k jo ek aur bhai the unki sirf beti thi aur wo gaun me rehte the unhone jamin bhi bechi. indo ne toh apna apna hissa le liya hum log ko kuch mila nahi. hamare dada ji kam jaldi kam umar me expire ho gaye so mere papa kam umar me job kiye gaun se bahar rahe aur case bhi har gaye unki exparty degree ho gayi job k karan aur akele hone k karan date pe mahi ja sake. akele dar te bhi the piche koi tha nahi unke aur dusri side wale us jamane me advocate the so betw the jo papa k hi age k the. samajh nahi aata ki humne na becha na batwara hua hamara yeh bata k ki kiska kaha kitna hai. toh mera hissa kaha gaya. agar batwaravhua toh yeh bataya jata ki kaha kisko kitna milega. aur undo ne jamin bhi becha humne toh kuch becha hi nahi hum toh city me rehte the. humare case me kya lagata hai aapko rai de. koi nahi batata ki kanoon k hisab se hamara case kaisa hai. hum log uatne paise wale nahi ki sirf ahenkar k liye case lade. kanoon kya kehta hai please yeh batane ki kripa kare. kya unka lokadalat ka exparty degree kharij hi sakta hai. kanoon k hisab se hamare case me kya ho ga.. kya hum supreme court ja sakte hai. aap ka aabhar , apna bahu mulya rai de bahut aabhari rahunga.