Papa ki jameen me dada or chacha ka hissa

Mere dadaji Bihar me rhte hai. Unhonne apni pushtaini jameen or apni saree property apne sirf 1 bete or baati k naam se likh di hai. Hum log delhi me rhte hai unhone mere papa ko kuch bhi nhi diya hai or upar se bolte hai ki delhi me jo hmara ghar hai usme unke chote bete yani mere chacha ko hissa do wrna hum case kar denge qki delhi me hmara jo ghar hai wo papa ne hmari mummy k naam par liya hai. Bihar k will ka bhi kehna hai ki hmare dada or chaha ka hmari delhi ke jameen me hissa bnta ahi to wo jb chahe case kar skte hai...1 to hume gaon me 1 rupay ki jameen nhi di or our se hmare delhi k gahr par agar case kar diya to him log kha jayenge..To please muje iske liye koi legal advice de taki him fOuture k liye secure rhe qki case hone ke bad hum sayd kuch nhi kar payenge.. Delhi ka ghar mere papa ne apni kamayi k paiso se liya hai... Gaon me bhut si jameen k liye bhi papa ne paise diye the par cash transaction ka koi record nhi hota to mere dadaji ne clear mna kar diya ki mere papa ne unhe kuch nhi diya...Yha tk ki meri mummy ki shadi ki jewellery or dahez k saman ko bechkar bhi kuch zameen li thi jisme bhi unhone hme kuch nhi diya.