After resign school not pay salary

Sir maine school se resign diya coz main kafi pareshan ho chuki thi. Jab maine resign diya to unhone bola ki hum aapko inform kar denge. But unhone nahi kiya. Fir main school gayi to unhone mujhse Baat nahi kari. Uske Baad unhone ek letter jari kiya ki aap political activity main payi gayi and aapne resign ko notice nahi diya jabki maine diya tha. Uske Baad maine us letter ka reply kiya ki maine notice diya tha and maine kisi bhi political activity main involve nahi thi. Uske Baad unhone ek letter bhejha ki aap involve thi or aapne turant resign de diya tha to hame time nahi mila ki hum aapko notice de. Or aap resign k Baad kabhi school bhi nahi aaye apni service dene k liye. But main resign k Baad bhi 2 baar school gayi thi ki mujhe kya karna h but management nai bola ki jab school opne honge tab hi batayenge or jab school open huye tab tak mera notice period bhi finish ho chuka tha. Maine school band hone se 3 din pahle hi diya tha coz fir summer vacation start ho chuki thi or main summer vacation k Baad school join nahi karna chati thi. Coz main vahan par main kafi mentally pareshan ho chuki thi. Ab mujhe kya karna chahiye. School meri salary realise nahi kar rahe. Bus problem ye hai ki mere pass resignation letter ki copy nahi hai. Guide me.