live in relation dispute

mai abhi 18 yrs ka nahi hua hoon by educational certificate but by birth i m 19 yrs old.mujhe aaj se 7-8 mahina pahle ek ladki se pyaar ho gaya tha humlog bina parents ke jaankari ke ghar se bhag gaye aur aise hi sindoor daal ke shadi kar liye.shadi ka koi proof nahi.ladki 15-16 yrs ki hogi.humlog alag rent pe room le kar ke rahne lage.kuch din baad parents ko pata chala.mere parents aaye mere paas samjhaye humlogon ko ki ye sab mat karo.humlog nahi maane aur rahne lage.2-3 mahina thik chala relation meri mother aur grand mother beech beech me milne bhi aati thi.uske baad humlogon me ladai jhagra marpit hone laga.aise kartre karte 2-3 ho gaya.uske parents bhi mere parents ko bolne lage ki dono ko apne ghar me rakhiye nahi to case kar denge.mere parents bole case kar dijiye hum nahi rakenge.ek din maine ladki ko uske kisi relative ke yahan bhej diye.uske 2-3 din baad ladki ki maa aur mama mahila councelling helpline me aaye aur mujhe wahan bulaya wahan par samjhane lage mai maan gaya aur ladki ko leke apne room pe aa gaya.agle din subah se humlog jhagrne lage .mere parents ko pata chala to meri maa ,dadi aur dada.mere room pe aaye aur samjhane lagi ,ladki meri maa se bhi jhagarne lagi .jhut muth chillane lagi ki mujhe ye sab milkar meri hatya karne ka prayas kar rahen.agal bagal ke saare parosi ikkatha ho gaye. itne me kuch der ke baad ladki ki maa aur uska mama police force lekar pahuch gaya aur ladki ne kaha ye sab milkar mujhe maar rahe hain.mujhe bahut mara policewalon ne mere dada ko bhi mara aur sabko thane le gaya.mujhe aur mere dada ko police lockup me band kar diya.police walon ne bahut paresaan kiya ,rape case me daal denge 498 me daal denge nahi to ladki ko aapne pass rakho parents ke ghar, mere dada aur dadi se paper pe likhwaya ki mai (ladka aur ladki meri patni ab se humlog thik se rahenge aur kabhi jhagra nahi karenge.age kisi bhi tarah ka ghatna hota hai ladki paksh kanooni karwai ke liye swatantra hai.humlogon ko majburan ladki ko ghar leke aana para.mai aur mere parents bahut pareshaan hain.humlog ladki ko accept nahi karna chahte.Mere father bahar rahte hain. kripya sahi advice de ki kaya karoon.