Threaten to kill.

Hello sir/madam, mere bade bhai ki death kathit accident se 1.5 month pahle ho gayi thi, ab bade bhai ki wife humse koi rishta nahi rakhna chahti hai aur usne 3.5- 4 month ka garbh ka abortion karwa diya par humko bataya bhi nahi humko kisi third person ke thru ye baat pata chali hai. Bhai ki death se 3 month pahle mere bade bhai ne ek flat apne aur apni wife ke name joint kharida tha jiske liye mere father ne builder ke account mein 23 lac rupees bank transfer kiye they aur bhai ne 16 lac rupees ka bank loan liya tha ab choonki bhai ki death ke baad flat bhabhi ke name par hai parantu aur humko is par koi problem nahi hai parantu wo chahti hai ki flat hetu liya gaya bank loan mere father pay kare jo hum nahi kar sakte hain kyuki already 23 lac flat lete wakt de chuke hain. Bhai ne apni shadi ke baad apni company mein nominees ke tor par mere father aur bhabhi ko 50- 50 % ka nomination kiya tha jaha se dono ko 12-12 lac rupees milne hain bhabhi ye bhi chahti hai ki sara paisa usko mile par mere father aisa ni karna chahte hain. Ab bhabhi k father ne mere father ko phone par mere aur meri family ko jaan se maar ne ki dhamki di hai aur apni beti se bolkar humko farji case mein fasane ki dhamki di hai jiski humare paas m recording nahi hai. Main ek government employee hoon aur mere father retired teacher hain aur pention lete hain. In logo ki khilaf kya legal action liya ja sakta hai please bataye. Regards Rsm