Sister right

Hello sir ..Meri family middle class hai ma bap simple school teacher or ..mai contract job me hu jo har sal renew hota hai to job security hoti hai..meri bas 1 bahan hai jisne love marriage ki usse bhi arrange marriage jsa mabap ne hasiyat se bad ke kia 13lakh kharch karke shaadi hui bhhut hi jayada bde ghr ki bahu hai sth me husband ka bhi central job hai ,apna flat gaadi bnglow kids fully settled.. mai apni mabap ka ekluta sahara hu ..Meri father ki bs 1simple property unka flat jiska value 30 lakh ke aaspas hogi, parents ab old age hogye akele rah nai pate to unhe man hai ki bete ke sth future me 1jgh bda ghr lekar sath rahe..( mai v married hu bche nai hai avi..Job ki wajh s mai rent pe rahta hu other state) mai v parents ke sth rahna chahta hu but meri ma bahn ka kahna hai ma bap ke flat se usse adha dia jaye ye kanoon hai ..Sabhi jante hai court k order hai ,but mai janana chahunga kya ye sahi hoga jab meri v naukari fix nai,mabap ki sari jimmewari bhi ayegi mujpe,mera v pariwar badega future me..Yahi sawal hai mera kya bahan ko lena chahiye ya mujhe usse dena chahiye ? Aapsi sahmati bhi hui parents bhi beti ke jidd or court rule se adha dene ko ready hai....Kya mere favaor m kanoonan koi rule hai ?