to given borrow money

Dear Sir, Nov 2015 me ek ladke ko Rs 200000/- two lacs udhar diye thy kuki us ladke ko hamare ghr se last 15 yrs se achhi pehchan thi. Usko apne bete ki bimari ke liye paise chaiye thy. Usne kaha ki within 2 months me paise vapis kr dunga . Jb usne paise nhi diya to uske ghr jakr manga. Tab pata chala ki uske ghrwalo ko kuch nhi pata. Wo ladka jhut bolkr humse paise le gaya. Phir ek din us ladke ko humne ghr bulaya aur usse 100 stamp pr sign kera liye pr wo blank tha usko kaha ki humne tere pr faith krke paisa diya aur ab hum police me complain kerenge tab usne sign kr diye aur bola ki me dheere dheere paise de dunga , mere pass abhi paise nhi ha. Humne wait kiya pr usne itne yrs me 50000/-fify thousand hi diye hai wo bhi hum uske ghr jakr kbhi 500 kbhi 300 aise liye aur unhe add krte gaye. Ab wo bilkul nhi de raha ha. Hamare pass bas ek gawah ha uske samne us ladke ko paise diye thy. Ek ph recording bhi ha pr usme exact 2 lac ka nhi bola gaya ha. Wo ladka ek rent ki shop liye hue ha pr kbhi kbhi open krta ha us shop ko. Jb bhi jao band rehti ha. Bas shop kholkr saman nikal kr auro kr ghr pauncha deta ha phir paise le leta ha. Ladies corner ki shop ha uski. Hamre pass aur koi proof nhi ha. Hum kya us pr case nhi kr sakte ? Agar kr sakte ha to kaise aur kon si dhara lagegi? Ua stamp paper ki ab koi value nhi ha?