Pagadi room , leagal heir , tenant name transfer

Mai mumbai me rahata hu 50 sal pahile mere ma ke pitaji mumbaime pagadi ke ghar me mahine ka bhada bharke rahte the unki char ladkiya thi.1947 grand father ke death ke bad char ladkiyonki shadi ho gayi grandmother ke sath meri maa pitaji rahane lage meri maa unki badi bethi.phir mere bhai 2 bhai aur 1 sister ka janam esi room me huva.phir bhai sister subaki shadi ho gai aur sab lok kisi aur jagah chale gaye1991 ke aaspaas phir meri grand mother ki death huei .phir meri shadi ho gayi 1992 me us waqt mai meri wife mere parrent aur usake bad children ke sath rahata hu. 27 sal me koibhi problem nahi aaya 2 sal pahile maa aur pitaji ki death ho gayi. aur sabhi bhai,sister,aunty unke bachhe es pagadi ke ghar me hamara hissa hai karke zagadne lage kyoki us building ki redevelopment ho rahi hai room abhi bhi grand father ke naam par hai 33 sal se mai room ka bhada bhar raha hu usake origenal recipt mere paas hai owner rent receipt transfer karega kya?, recontruction ke baad nayi building me muze naya flat milega kya? tenancy rights alagse transfer karane padte hai kya?,meri maternal grand mother, meri mother unaki death hui thi uswaqt mai meri family esi room me rahthe the. kanoonan kya hoga.