about summun

Hello sir...... Mai jaanna chahti hu...mere pati ki taraf se mere khilaf chandigarh ke mahila thane me mere khilaf complaint ki gyi hai...wha ki taraf se muje ek call me dosre din wha jane ko bola gya tha...kyoki mai mere ghar ki aarthik haalat thik nhi thi...jis wajah se mai wha nhi ja saki...or dosre hi call me mere khilaf summun bhejne ko bola gya tha...uske turant bad hi mene mere area ke mahila thane me mere pati or uske gharwalo ke khilaf...dowery or domestic voilence ka blame karte huye complaint krwayi...or uske 2 ya 3 din bad hi muje summun aa gya wha ki taraf se....or jab is letter ko le jakar mene dikhaya...or wha ke officer ko pucha ki kya mera wha jana jaruri hai..to wo bolte hai...kyoki is letter me jo enquiry officer ka naam h....wo to likha hua hai...but jha stamp lagi hai...us pr sign ni kiye huye hai...to ye summun ni mana jayega...isliye aapko jane ki koi jarurat nhi....or fir mahila thano me ladiso ki complaint likhi jati hai...jentso ka to koi hak hi nhi hota...kya is summun ko summun mana jayega...kyoki isme lage stamp pr sign nhi hai...mera ek 1 nd half year old ek beta bhi hai...shadi ko 3 saal ho gye hai...sasural walo ki taraf bahut pareshan thi...or jab pregnent thi...to bimari haalat me mere pita ke sath apne ghar chali aayi...or tab se yhi hu...sasural walo ki taraf se bahut pareshan rakha jata tha...isi wajah se mai apne sasural ni jati...kya mere pati ka mere khilaf complaint karne ka hak banta hai...kya ye without sign wala summun ...summun mana jayega....please muje btaye