Can stay order should be cancelled?

Sir, mere father ar mere uncle ne ek ghar kharida jiske 4 hissedar they 3 brothers and their mother, jisme se 2 brothers ne apna hissa mere father ar mere uncle ke name se sale deed ker diya but un logo ne hm per cheating ka case ker diya jaha per mere father ne vo case 2 time jeeta ar uncle ne one time, ab us makan kaa her hissa bik chuka hai ar kirayedari ka mukadma un logo ne ker diya hai..... sir jb us makan ke sare hissey sale ho gye hai to us per ab kirayedari ka mukdma kya khatam ho sakta hai....opponent party ne makan per stay liya hai...aj vo makan bahut hi kamjor awastha mai ar tuta futa hai jisme meri family rahti hai kitchen ki ceiling heavy rainfall ke karan 2-3 days before gir gye kya hm log is stay order ko cancel kara sakte hai? new construction legal nhe hai stay order but kya usko repaire bhi nhe karaya ja sakta? hm log ab kya kare bcoz ghar kabhi bhi gir sakta hai ar hm log dusra ghar ya rent per kahi nhe le sakte kyuki hamari economic condition acchi nhe hai? sir plz advice dejiye..... thank you