Advice for case

Main shankar soni jevar dukandaar ke viruddh 2011 me fir daej kiya ki usne me beta ko bahla fusla kar ghar me rakha jevar le liya . us samay beta ka umra 13 saal tha. police ne 420/379 evm 406 ke taht case darj kiya .gavahi samapt ho gaya case argument me chala gaya hai. shankar soni ke advocate ne u/s319 ke tahat mere beta ko accused banane ke liye application court ko de raha hai. chuki mera beta us samay 13 sal ka tha..ab vah 18 saal ka ho gaya hai. 5 varsh case ki gavahi me laga , us samay tak usne aplication nahi diya. jab case ka argument hone ko hai tab vah application de raha hai .accused ke yahan koi saaman baramad nahi hua hai aur nahi usne accept kiya hai ki main saaman liya hun. mera case govt pp dekh rahe hai. unke anusaar vah comparmise ke liye dabab bana raha hai .leken is sart par ki saamaan n to vaapas karega aur na hi uska paisa dega. is sthi me main kya karun.comparmise kar lun ya phir kesh larne ke liye taiyaar rahun. agarcase ke liye stand karta hun to kya iska prabhav mere bete par kya padega. pl. give me advice.