Registered will cancel on basis of wrong fingerprint expert repor

Sir mere grand father ka ek chota bhai tha and mere father k do chote bhai hain & hum do bhai hain. mere grandfather ki bahut pehle hi death ho chuki thi and uske baad mere father k chacha he they wo unko apna beta mante they because unke only one Ladki he thi. mere father k sath unka close relation tha just like father. 1998 me mere father k chacha ne mere naam ek will banwaya jis par three gureenters k bhi signature hain and wo registered will h. vasiyat karne k 3 din baad mere baba ki death ho gyi. because mere Baba k ek he ladki thi so usne wo vasiyat ko nhi mana and district court main case file kar diya ki hum logo ne farji vasiyat karvayi h. 18 year mukadama chala and magistrate ne finger print expert ki report k base par wo vasiyat cancel kar di uske baad mere father ne appeal file ki aur 2 year se tareek pe tareek chal rahin thi 27 april ko mere father court nhin ja sake because unki tabiyat bahut kharaab thi then uske karan wo appeal ko bhi NON APPEARENCE k reason se khaahrij kar diya gya ab unhone dobara apppeal file kar di h , court ki vacations chal rahi h and opposite party police k dwara pressurize karwake property hadapna chahti h, what i do????????????