Bantawara name ka gyapan

Mayaram ke do ladke huye. mayaram ko pushtaini makan no. 64 mila aur makan no. 65 gift me mila. makan no. 64 aur 65 ka nam nagar nigam me mayaram ke nam se hai. mayaram ke do ladke huye. madanlal aur yadunath. mayaram ne apne jeevankal me hi maukhik roop se makan no. 64 yadunath ko aur makan no. 65 madanlal ko pradan kar diya tha tatha dono parivar apne-apne makan me kabij the. vartman me yadunath jivit hai tatha madanlal aur unki patni nahi hai. madanlal ke do ladke vishnu aur ashok dono shadisuda hai. vishnu ki mrityu ho gayi tatha vartman me vishnu ki patni umakanti aur teen balig ladke aur ek ladki hai. ashok apne parivar ke sath 20 salo se apne ghar se door kahi aur rah raha hai. vartman me batwaranama ka gyapan yadunath aur umakanti tatha teen putro ke madhya likha gaya hai tath nagar nigam me bhi yadunath ke nam makan no. 64 aur umakanti tatha teeno ladko ka eksath nam makan no. 65 ho chuka hai. kya ashok apna batwara pane ke liye court me ja sakta hai. kya use batware me apne pita ko prapt makan no. 65 se hissa milega ya ashok ke batwaranama ka gyapan me sahmati nahi hone se batwaranama ka gyapan invalid mana jayega. Kya ashok ke apne ghar se door rahne ke karan batwaranama me sahmati nahi lene se uska adhikar samapt ho jayega. kripya salah de.