Divorce

Sir, Meri Marriage ko June me 12yr ho jayenge. Shadi ke kul ek der saal tak hi bus sab ok chala ya mughe samajhne me time laga... Meri family me Father in law nahi the aur kewal mother in law hi thi jo 2012 july me expire ho gai hai... Main hamesha try kar rahi thi... mai apni married life save kar lu but aisa ho nahi pa raha tha... mere husband din raat drink karte hai.. aur abuse language use karte hai...mere liye galat bolte hai.. mai shadi se pehle hi working thi aur abhi bhi hoo hamara ek beta hai jo ab 11yr me hai... mere father nahi hai.. aur isi vajah se mai apni mumma ke pass jyada rehti hoo aur beta bhi mere saath hi rehta hai.. mai hi uski saari jimmedari uthati hooo mere husband kabhi kabhar yaad aata hai ki unka ek beta hai. lekin tab nahi jab bachhe ki jarurte hoti hai.. i mean uski education, uske liye kuch hai hi nahi... bahut samjhaya par result is 0. Mughe samajh hi nahi aa raha tha ki vo insaan chahta kya hai.. kamata bhi tha to bhi kabhi paise dene ke liye han nahi karta tha.. kewal apne liye... jab mughe requirement hoti thi to aaj kal ya phir le lena.. mai khud hi working hooo bahut kam demands hai... but apne liye nahi bete ke liye... but I'm helpless... Only he wants his wife on bed and cook food for him aur poore time abuse language sunoo. Maine baat karna bilkul band kar diya... july 2012 se lekar ab tak maine baat nahi ki hai.. aur na hi karna chahti hooo mai usko maaf hi nahi kar paa rahi.. itne lambe samay me kabhi bhi us insaan ko ye nahi laga ki vo apne aap ko sudhaar kar mere samne aa sake aur kewal itni hi wish thi ko vo drink karna chor ke normal life jiye... but ??? Pls suggest kijiye... mughe kya karna chahiye... baate aur bhi bahut hai.. but phir bhi itna jankar hi mughe suggest kare...