Harassment me and my wife by my mother

Sir main or meri wife hum meri mother se bahut pareshaan hai mere father ne kuch paise bachane ke liye meri mother ke naam par property kar di thi jis me hum rah rahe hai meri shaadi 2009 me hui thi uske baad se hi meri mother ka behaviour meri wife ke prati change ho gaya jabki meri shaadi ke liye ladki bhi inhone hi pasand kari thi kuch months baad hi hume pareshaan karna shuru kar diya or makaan ke 2nd floor par teen ke kamre me rahne ke liye chod diya uske baad bhi inhe chain nhi mila to beech beech me pareshaan karti rahti thi mere father ki abhi last November me death ho gayi thi heart attack se mere 2 bachhe hai jin se wo bahut pyar karte the but unhe kabhi bachho se nhi milne diya jata tha ab main hi apne bachho ko ghar se bahar kabhi kabhi unse milwane le jata karta tha mere father ne objection bhi uthaya to mother ne 100 number par call kar police bula li lakin baad me compromise ho gaya same situation mere saath hui humne apni mother ke against DV act ka case bhi daal rakha hai kitni baar inhone mujhe police se pitwaya jab mann chahe police wale chowki me bulwa lete or pareshaan karte meri mother ne ghar khali karwane ke liye property ka bhi case daal rakha tha lakin mujhe in sab cheejo ki knowledge nhi thi isliye mere wale lawyer ne meri defence me koi witness hi nhi karwai or hume exparty announce kar diya jiski wajh se hum case haar gaye latest abhi last mo th me hi dobara apeal ke liye file daali hai ab apeal ke liye file accept hoti hai ya nhi ye bhi dekhna hai humare sabhi relative ne samjha kar dekh liya mother ko lakin koi fayda nhi hua unhone ye bhi kah diya ki isko jo bhi share banta hai wo de do taaki ye kahin bahar makaan le kar rah sake lakin inhone sabhi ko mana kar diya aaj koi bhi relative humare ghar nhi aate hai hum teen bhai hai bada bhai bhi inhi sab reason se pareshaan hokar shaadi ke next month hi ghar chhod kar chala gaya uski shaadi 2005 me hui thi or wo dobara aaj tak bhi ghar nhi aaya even father ki death ke time par nhi aaya meri mother ne mujhe property se disowned kar diya hai main is condition me nhi hun ki bachho ko bahar le ja sakun or mere father ki bhi yahi icha thi ki hum yahi rahe mere chhote bhai ko bhi lalach de rakha hai ki bada bhai chala gaya second number wale ko maine disowned kar diya ab saari property teri hai humara saara ghar meri mother ne toad diya hum such me bahut pareshaan hai kyoki ye apna ladies hone ka misuse kar rahi hai or ab father ke jaane ke baad ye bilkul free hai or koi kami nhi chhod rahi mujhe or mere bachho ko pareshaan karne ka plz koi suggestion de in ki harassment or police walo ki bamashiyo se bachne ka kyoki main ek shaadi shuda or baal bachedaar aadmi hun in sab cheejo ka mere bachho par galat asar pad raha hai or meri self respect bhi khatam ho chuki hai ab main police walo se bachne ke liye bhi kya karun