Property bechne par buyer ne pura payment nahi kiya

Sir hamari family me hum three brother one sister and father hai, family disputes ke karan father ne apna ghar becha, jise hamare sage mama ne kharida,2012 me ghar ka souda rs 20 lac me hua . advance me 9lac rs mile jise mere dono bhai ne aapas me share karliya. Baki payment ke liye mama ne bank finance karaya. Mama ne kaha 12lac rs finance hua hai, regestry karke bank me jama karna Padega to bank se father ke nam ka cheque issue hoga so hamne mama ko regestry karke ghar ke papers de diye. But bank se sirf 9lac ka cheque issue hua, 3 lac construction karne ke liye pass hue the. Mama ne kaha mujhe tumhe 2lac rs dena hai, but bank se 3lac ka cheque aap ke nam issue hoga so aap mujhe 1lac rs and ghar khali karke do. Mai thada construction karke aap ko bank se cheque deta Hu, so father ne mama 1lac rs and ghar khali karke de diya. Mama ghar me construction karke rahane bhi chala gaya, and bar bar payment mangne par bhi wo payment nahi de raha. Bank ke cheque ka kya hua malum nahi bank me enquiry karne par bank wale koi information nahi de rahe. Mama payment dene ke liye mukar gaya, kahta hai mere nam se regestry bhi ho gai and mujhe ghar ka kabja bhi milgaya tum mera kuchh nahi bigad sakte, hame 18 lac rs mile by cheque koi cash nahi mila, and hamne mama ko 1lac rs bhi by cheque hi diya, is se jayda hamare pass koi proof nahi hai, abhi tak payment nahi mila and ghar ki today value 80lac ho gai, kya hame hamara paisa milega if yes, to wo today value ke hisab se mileage. Kya ye ghar ka souda cancel ho sakta hai, kyamama ko uske fraud ki saja mil sakti hai please