About illegal right of land

Hello sir, mere father businessman hain.unki shop main kanpur road lko par hai jahan pichhle 35 yr se vo tanent hain.jab pita ji ne shop kiraye pe li thi tab uska kiraya vo hand to hand shop ke malik ko dete the jiski reciept shop ke malik apni ichhaanusar diya karte the.kai bar 6 mnth ya kai salon baad b diya karte the. kuchh dino k baad kuchh misunderstanding ke karan shop k malik ne kiraya lene se mana kiya to vayapaar mandal k or kai logon ki tarah pita ji ne b kiraya lko court me jama karna shuru kar diya. kuchh salon tak sab thik chalta raha. 2010 me shop malik ki death ho gayi par kiraya usi ke naam se jama hota raha..2015 me shop malik k bete ne hame ek notic bheja jisme current rate ke hisaab se bada hua kiraya manga jo 15 lac tha...is beech 2013 me mere pita ji ki open heart surgery hue jiske baad vo kaam karne me saksham ni the tab unhone ek person ko apne sath partnership me kaam karne k liye shop me jagah de di jiski koi likha padi ni hai..is baat ke karan shop malik ke bete ne hum par case kar diya ke kiraya bada kar do ni to shop khali karo..or court me ye kaha ke ye defaulter hai kai salon se mujhe kiraya ni diya h..lagbhag ek saal me case fight karte-2 court ne 6 mnth ka kiraya jama karne ka order kar diya h par dusari taraf jo aadmi hamari shop me kaam kar raha tha usne hisaab ke paise dena band kar diya h or apne naam se electric or telephone connection lene ke liye force karna shuru kar diya h.....ab vo hamari shop par kabza karna chahta h or roz roz pita ji ko darata dhamkata rahta h........sir plz aap mujhe batayen k ham in dono problems se kaise nikal sakte hain....shop malik ka beta abi b pareshan kar raha h...plz sir sari possibilities batayen..