Child Custody

2005 me meri shadi hui thi . Kuch waqt ke baad mere pati ke nature me badlav aane laga aur woh mujh se meri behno ko lekar gandi baate karne laga jispar meri usse kayee baar larai hui phir isi larai me usne mujhe talaaq de di jiske baare me jab mene fatwa mangwaya to maloom hua ki usse mujhe talaaq ho gayee he jab mere ghar walo ne usse pucha to woh nakar gaya mere ghar walo ne aur ilaaqe ke zimmedaro ne phirse mujhe uske paas bhej diya par uske nature me koi badlav nahi aaya woh kharche se aur mently disturb karne laga woh na hi kharche ke na hi mujhe aur na hi bachcho ke paise deta tha . Aisa nahi tha ki uske paas paise nahi the kayee baar mene uske paas paise dekhe jo ki mujh se chupskar rakhta tha . Is beech har tarah ki pareshani jhelne aur talaaq milne ke baad bhi mere ghar wale aur ilaaqe ke zimmedar usko sudharne ka moqa dete rahe par woh apne aap me magan raha usne kisi bhi tarah ki koi bhi mere aur mere bachcho ke saath narmi nahi ki jiski ki wajah se mene apne ghar walo se kaha ki ab mere bardasht se bahar ki baat ho chuki he jispar mere ghar walo ne aur ilaqe ke zimmedaro ne milkar mujhe KHULA dilwa di kiyunki woh behad jhoota aur chalak insaan tha woh sabke saamne seedha bankar uske dwara talaaq diye jane se inkaar karta rehta tha . Jab mene usse khula maangi aur bachcho ki custudy , mehar ki raqam , kharche ke paise maange to usne saaf kaha ki tujhe agar bachche chayye to me tujhe mehar ki raqam 25,000/ rs aur kharcha nahi dunga . Mene bachcho ko apnaya aur paiso ko thukra diya . Jispar zimmedaro ne milkar faisla liya ki 1 affidavit banaya jayega sharto ka aur dono bachcho ke naam 25,000 / 25,000 each fd banwai jayegi jo woh banwaiga aur jispar mera naam likha jayega as a guardian. Par yahi par usne phirse chalaaki dikhai usne fd to bachcho ke naam karai par uspar apna naam as a guardian dalwa diya . Ab uski soch yeh he ki mehar ke paise bachcha liye , kharche ke bacha liye , fd me apna naam likhwa liya jab tak uske sign nahi honge fd cash nahi hogi aur ab woh fd me phanse paise nikalne ke liye bachcho ko court ke dwara maang raha he taki fd me phansa uska paisa usko mil jaye . Bachcho ka agar usko khayaal hota to woh mujhe pehle itna to bolta ki me bachcho se milna chau to kaise milunga lekin usko us waqt sirf paise bachane ki lagi thi .Ab meri dusri shadi ho chuki he aur me apne pati aur bacho ke saath khush hun . usse yeh khushi dekhi nahi ja rahi is liye usne Advocate se notice bheja he jisme 15 din me bachche maange hein ur ilzaam yeh lagaya he ki mere pati bachcho ke liye cruel hein aur bachcho ka palan poshan sahi nahi ho raha . jabke mere pati mere bachcho se behad pyar karte hein aur bachche bhi unse behad pyar karte hein . mere 2 bachche hein Girl 10 yr , Boy 9 yr . mehrbani karke batayen ki me kiya kar sakti hun jo bachche mere paas rahen .