Property issue

Sir, mere father aur unke teen brothers ne aapsi sahmati se batwara kiya. jiske tahat do bhayiyo ko aabadi ki zameen me ghar banane ke liye hissa mila aur do bhayiyo ko khet me ghar banane ke liye hissa mila. jisme se teen bhayiyo ne apne-apne hisse me ghar bana liya hai. Aur hamara hissa jo ki aabadi ki zameen per hai khali pada hai. meri dadi ne marne se pahle ek will banwayi ziske tahat unhone apni hisse ki saari chal or achal samppati apne grandson ke naam likh di. aur to aur hamare hisse ki jo zameen aabadi me khali padi thi wo bhi us will me likh di. zab charo bhayiyo ne batwara kiya tha us samya saari sampati chaar hisso me bati thi. Dadi ko us sampati me hissa nahi diya gaya tha. Dadi ke marne ke baad zo zameen hamari aabadi ki ghar banane ke liye khali padi thi ushe bhi us Will me Dadi ka hissa bana kar zod diya hai zabki aabadi ki zameen na to kisi ke naam per hoti hai aur na hi uska sarkari khate me naam chada hota hai please koi solution batai Sir.