Habeas corpus

Hello sir... Mai dehradun uttrakhand me rehti hu or meri shadi roorkee uttrakhand me may 2013 me hui thi.ab mai ek saal se apne husband ke sath nhi reh rhi hu. To unhone HABEAS CORPUS ka case nainital high court se dala tha. Jiska faisla mere favour me rha. Ab mere husband ne yhi case double banch high court nainital me fir dala hai..lekin iska notice mere ghar me nhi aaya blki wo mere habeas corpus ke advocate ko whi Nainital me de diya..lekin kya mere advocate ko us notice ko bina mujhe se puche lena chahiye tha kyunki ab dobara se vakalatnama bhara jayega to hum dusra advocate bhi kar sakte hai.. or 6 jan 2016 ki date lgi hai or aaj 4 jan 2016 ko information mil rhi hai..kya mere pehle advocate ko wo notice lene ki authority hai.. jb notice mere residential address pr nhi aaya to kya mujhe jana chahiye.. or maine yha dehradun uttrakhand se devorse ka case bhi dala hai jiski aaj 4 jan 2016 ki pehli date thi.. lekin mere husband nhi aaye usme..wo devorse ka notice receive nhi kr rhe hai.. aur sir mai govt. employe hu mai itni chuttiya bhi nhi le sakti ki sari dates pr ja saku...sir plz mujhe suggestion dijiye ki kya krna chahiye