Property dispute

Sir mere papaji 5 brohther and sister the. mere papaji kia dehant 27 Dec 2003 me hua tha us se pahele meri 2 Bhuwa (Sisters of my papaji) NE APNE hisse ki jamin apne dono brothers ke naam karwa di but ek bhuwa ne apna hissa me uncle ke naam kar diya mere papa ko nahi diya yeh year 2000 me hua tha aur intkal bhi ho gaya tha yeh sab hamare uncle ne hamse chup kar karwa liya wah jamin to hamare pass hi hai tabhi hum hi jot rahe hai parantu ab mera uncle us bhuwa ke hissa ko kisi 3rd person to bikri kar raha hai abhi hum kya kare. abhi meri bhuwa jisne apna hissa mere uncle ko diya tha weh pagal ho gai hai uske ek hi beta tha jiski death bimari ke karan ho gai thi. abhi uski putar vadhu mere uncle ke bare me bol rahi hai ki usne jamin par loan lene ke liye bhuwa se angutha lagwaya tha parntu dhokhe se bhuwa ki sari jamin apne nam karwa li ab wah court me yeh bayan dene ke liye tayar hai. sir aap mujhe bataye ke kya bhuwa ka wah hissa ab hum brothers ke naam ho sakta hai kyon ki mere papa ji ki death 2003 me ho gai thi. Abhi kuch din pahale 7 marla mere uncle ne 3rd person ko bech diye of registry karwa di but jamin hum hi jot rahe hai abhi hum kya kare kya hamare papa ka hissa hame ab mil sakta hai.