Illegal naam remove karane ke liye

Sir mere father ki death 29/08/2005 ko hui thi unhone death se pehle koi vasiyat nahi chodi ...father ke naam se 1200 sq.feet par wana ek duplex he...jiska namantaran 2010 mene karwaya... toh wo teen namo par aagaya mere naam meri mother or meri married sister ke naam se hame uss time yahi wataya gaya ki naye niyamo me ladki ko barawar ka hissa milta he....meri mother ne jab mere brother in llaw ka kaphi lalchi rookh dekha toh unhone wasiyat taiyaar ki or unke hisse ka 33.33% (makan me hissa) mere naam kar diya meri ma ki death June 2014 me hui....ab wasiyat anusaar unka hissa mere naam aa gaya he ....abhi ki situation me mere naam 66.66% or sister ke naam 33.33% hissa record me he....par abhi 2 nov.ko mene desh ke sabhi leading newspapers me pada he yadi father ki death 09 September 2005 se pehle hui ho toh phir ladkiyo ko property me koi hissa nahi milega ....jabki mere father ki death 29 August 2005 ko hui thi or namantaran bhi galat niyam se sister ke naam ho gaya tha jisme me uss waqt bhi dil se taiyaar nahi tha....ab kiya processor he jisse manniya supreme court ke aadesanusar sister ke avedh naam ko hataya jaye......please sir give me your kind advice.... Jagtar Singh Address- Bhopal M.P. Email- jagtarbina@gmail. com