My father's property

Meri ek badi sister jiski shaadi 2007 me hui or talak 2010 me hua tha. Uske koi child nahi hai. Wo job karti hai jisme salary kam hai. Mere pita ji unhone apni staring se lekar retirement tak ki kamai ka kuch hissa land (zameen) kharidne me lagaya. Ab meri sister kehti hai ki uski kamai (salary) kam hai to usko wo zameen chahiye or wo uske liye meri family ( mummy, papa ji, me khud (bhai)). En sabko coart me ghasitne k liye bhi tyar hai. Mere papa mummy abhi zinda hai or ye question me mere papa ji ki taraf se ap se puch raha hu. Or sath hi meri abhi shaadi nahi hui hai. Kya es problem ka koi solution hai ap logo k pas ya majburan hum logo ko us zameen ko dena hi padega. Actually hum wo zameen usko nahi dena chahte hai. Or ek important baat. Uske husband ne divorce ke time par uske sath mar peet kar k kuch aise kagajo par bhi sign karwae the ki sister k husband ko talak ke bad koi harjana koi bhatta koi land koi property na deni pde. Meri sister ne dabav me akar sign kar diye the us time par. Kya wo apne sasural walo ki property par koi adhikar rkhti hai? Kya usko sasural walo ke khilaf action lena chahiye.