Lees deed cancel kese kare

Ukat sampati ka vivad 1977 se kisan or sarkar ka collector me chal rha tha, jiski jankari pita ji ko nahi thi, mere Pita ji ne 1994 me kisan se khridi or kreta me apne saath apne 2 bhai ka bhi naam rajistri me likhwaya, or ukat jamin par society bna kar school shuru kar diya, namntaran bhi ho gya, 5 varsh baad 2000 me Khsre B1 par ukat sampatti evam pure khasre par nazul likha aa gya.. kisan or Sarkar ka case 2010 me High court chala gaya, 2010 se khasre B1 par Shashkiy ho gya.. 2002 me mere Pita ji ki martu ho gii thi.. fir school ka sara kary meri mata ji, bhaiya or mene sambhala.. 2012 me bina likha padi ke 1 patnar ko add kiya or usne hmare school me 4 saal me 25 lakh rs kharch kiye or hamne unke 3 vyktiyo ko Society me add kiya.. 2014 me unhone hum 3 logo( Mammy, Bhaiya or mujhse) se lees deed society ke pakhs me karai jiske adyksh mere bade bhaiya the, or lees ghahita me bhaiya ka bhi naam tha.. 2016 me ukat sampati ka sale agreement 1,000/- Rs ke Stam par hum 3 logo(Bhaiya, Mammy or mene) ne hmare patnar ko kiya or socity se humne or hmare sabhi sadsyon ne tyag patr de diya.. or hmare patnar ke sabhi sadasya us society ke member ho gye.. Ab vh patnar ne na to sale Agreement ka full amount aaj tak nahi diya or ab lees deed ki certified copy nikal kar kh rha he ki me ab bache 20 saal ka mai kirayedar ho gya hu.. or property par kabja kar liya he.. Hum bahut pareshan he 2013 se.. hmari madad kare??..