Advice for domestic harrasment

Meri shadi ko 7saal ho gye hain. Meri wife shuru se hi choti choti baaton me ladti hai. Mai delhi me job krta hu aur shadi k time se hi wahi rehta hu. Jab bi mai apne parents se milne srinagar Uttarakhand jane ko taiyaar hota hu wo fir jhagda shuru kr deti h. Wo chahti h mai apne gharwalo se na to baat karu na unse milne jau. Mai uski har jarurat puri krta hu usko apne account ka ek ATM bi diya h. Saat saal se wo har time kuch na kuch kehti rehti h. Shadi k baad ek do saal tk hum saal me ek baar srinagar jate they wo bi teen ya char din k liye, wo usme bi har choti choti baat par ladai krna shuru kr deti. Jaise majak bi kro to kehti ki tumne aisa kyu kaha tumhara kehne ka matlb kya h aur isi pe ladai shuru kr deti. Mai mentally bahut paresaan hu aur wo kbhi nhi badlegi. Humara beta jyada time mere saath spent krta h, khane k liye, sone k liye ghumne k liye usey mere saath rehna hai. Is baat par bi meri wife mujhse jhagda h ki wo tere saath kyu rehta h. Mujhe darr h ki agar mai pehle divorce k liye apply krunga to jhute case me mujhe aur meri family ko fansa n de. Mai hamesha isiliye chup raha ki kahi wo kuch galat na kr de. Plz mujhe suggest kare ki mai kya karu.