Divorce

I am 28 year old married woman , meri shadi ko ek saal hua hai aur is ek saal me mere husband aur inlaws me hme mentally bohot torture Kiya . Mere devar ne hme aur hmari family ko abuse Kiya aur hme maarne ki dhmki bhi di. Hmne ye baat Apne saas aur sasur ko Kahi pr unhone Apne bete ko smjhaya tk ni . Wo log na hme kahi jaane dete hai , na ghr me se Kisi ko call krne dete hai . Hme hmesha bs waha ghr me bnd rkha jta hai . Itna Kuch hone k alawa mere husband ko hm me shadi k first Month se hi koi interest ni hai , na hmari feelings ki qadar h unko na hi agr hm physically bimaar ho to unko Kuch tb ni frq pdta . Hmne starting k kuchh month me khud ko bohot weak smjha hmne Khana Pina tk Khana chhod Diya aur suicide ki bhi koshish ki pr iske baad b waha Kisi ko koi frq ni pdta hai. Wo log hme hmesha ye Bolte h k tumhare mummy papa hi zinda nhi hai to tum Kuch ni kr skti , tumhe jese b hm chahe rkh skte hai yaha. Hmne Post graduation Kiya hua h shadi se pehle aur hme apni abilities pr koi doubt nhi hai . Hmara swal ye h ki hm kis base pr divorce k liye case kre . Hme hmari family jisme Bhaiya Bhabhi h unka koi b support nhi hai . Hm akele h , akele hi hme sb krna hai please hme suggestion dijiye k hm is suffocative rishte se kese nikle jaha hmara dmm ghutta h . Aur hmara question ye b hai k hm Sindhi family se belong krte hai , hmari family me hmne jinse b Kaha unhone Panchayat bethane ki baat ki to kya Sindhi hai to divorce Lene k liye Panchayat Ka Hona zroori h ya hm Indian law k according divorce le skte . Please hmari help kriye k hm apni aage ki Zindagi ki thik kr ske .