Leagal help

dear sir Meri bahan ki shadi 1991 me hui thi jab vah 9th me thi shadi ke bad gauna aur 99 me use beta hua 2006me uske pati ki mrutyu k bad meri bahn ka uske sasural se rishta khatm sa ho gya tha vo akeli naukri karke apna apne bete k sath khushi se jee rhi thi 2010 me uske devar fauj me the aur jo ki phale se shadishuda do bacche k bap the unhone meri bahan kesath uske marji ke bina samband banaya aur fir mang me sindur bhr ke shadi ki devar ne bataya ki jis se uski shadi hui thi uski patni vah pahle se shadishuda thi aur usne sadhe paper pe likh ke char logo ke samne pahli shadi isliye todi thi ki uske sasur ke kisi k sath najayj rishte the leikn kanuni talak n lekar usne dusri shadi ki thi. meri bahan ke sath inhi adhar pe usne fauj se retirement le ke registered shadi ki lekin fauj ke kagaj me uski pahli patni ka nam hai isliye ab pahli patni kahati hai ke vo hi legal patni hai meri bahn ke pas uske pahle shadi ka koi sabut nahi jinse usne shadi ki vo bhi ab use pareshan krne lage hai kya kre hamare ghar me aur uske sasural me koi bada nhi jo madad kar ske kya karna chahiye vah bachho ke liye us pahli patni ko pura kharch de rhe hai padhai ke liye lekin in sari bato me ab samjh me aya ki uske sare documnet me uski pahli patni (jisne inse apne pahle pati ko talak diye bina shadi ki) uska hi nam hai aur fauj ke kagaj me se uska nam hatane k bat pe zagda krne lagte hai kya mere bahan ki registered shadi galat hai kya vo kya ye jo kuch hua hai sab galat hai is me se bahar ka koi rasta nhi jo kanun sahi ho hamare dono parivar me sabko yah sab pata hai sabka khana hai dono rhe lekin meri bahan is bat ke kilhaf hai aur vo fir akele rhen ke liye tyar hai lekin in sab me nyay ya salah hai kyuki mere bahn uske pati se bahut pyar karti hai n use khona chahti n garikanuni dhang se jeena