My right on my grandmother when my grandfather and my father is no more

Me aapko apna pura case batata hu meri dadiji ko mere dada aur dadaji ke pension milti thi jo ke kareeb 25 se 30 hazar tak thi.meri dadiji ke 4 bache hai 3 ladkiyan aur ek ladka. Unka ladka yani mere papa bhi is duniya me nhi hai. To dadiji ko me he rakhta tha lekin mene kabhi unki pension unke care ke liya use nhi ke jab tak vo na kahe.4 saal pehle mere sabse bade fufaji jabardasti apne saath dadiji ko le gae vo bhi bus me 15 ghante se safar me sitting me.aur ye kahe ke le gae the ke bhuaji se milake bhej duga lekin aaj tak nhi bheja aur jitne din apne saath rakha mj ab pata chal raha hai ke unki puri pension use karte rahe aur unko pata nhi kya khila ke vo pagal jaise ho gae. Aur last week unki death bhi ho gae tab bhi hume sabse last me bataya aur hamare pauchne se pehle he unka bina hamari marzi ke unka antim sanskar bhi kar diya. Aur sune me aaya hai ke dadaji 15 -20 dino se bimar thi to unhone unke account 2 lakh rupee bhi nikale aur unke bimar hone ke koi khabar bhi nhi ke. Aur ab bhi hamara hak maar rahe hai unke account se saare paper bhi daba ke baithe hai. Kya karu me mj meri dadiji se last baar milne tak nhi diya.na he antim sanskar karne ka mauka diya jabki me agle din he pauch jata me wha se se karib 1300 km dur rehta hu. Bataea me kya karu.