After demise of father who can be the first beneficery of his property..??

Sir mere family me aur meri maa rehte hai..me ek dailysis kidney failure paient hu. Monthly mujhe hospital expenses 15000 near about hai wo bhi meri maa shop chalake karti hai, mera ek bhai hai do saal pahile usne mere papa ko me ghar girakar naya banta hu aap ye ghar mere naam kar do bol ke hume vishwas me lekar humare bina sign kiye hi ghar apne naam karva liya..ab pitaji nahi rahe aur humari maa ko humara bhai bahot gandi gandi galiya deta hai wo aur uski patni milkar ghar se nikalne ki batein karte hai kahin baar zagde me abhi nikal jao aise bol chuke hai.. Property milte hi unke tevar badal gaye hai..mera koi bharvsa nahi hai par mere baad meri maa ko wo aur na sataye isliye koi provision hai kya ya wo ghar humari maa ke naam pe ho sakta hai kya..??plz bataye meine paper me padha tha ki bacche agar maa baap ko nahi dekh rahe to unka maa baap ki kamai property me koi adhikar nahi hota..mere maa ko nyay kaise milega krupaya batayege..aap mere no bhi baat kar sakte hai.humara bhai kisi aur se baat kar raha tha ab uski nazar humari maa ki dukan par hai jo ki abhi tak pitaji ke hi naam pe hai..kya kare jaldi sujav de