relize the property

Hii i am kapil kumar from faridabad, meri mummy 3 sister thi, koi bhai ni ha, unki 2 nd num waali sis ki death ho gayi thi, to unke husbnd ki shaadi kisi or se kadi thi, unke 2 bacche 1 ladka 1 ladki ha,unko mere nana ji ne apne paas rakh liya taki unki acchi parvarish ho sake, mera mummy ka koi bhai ni ha, ab mere nana nani dono ki death ho chuki ha, to unki property par meri mummy or meri choti masi ka hakk hona chahiye, un baccho ka nahi, kiyoki unka papa ki property jo unke chacha ne kabja kar rakhi thi, wo 2 saal pehle humne hi relize karayi thi, taki un baccho ko apna ghar mil jaye or mera nani ki death k baad wo apne ghar ma reh sake, ,, but point ab ye ha ki unhone ek statmp paer par ye likha hua ha ki mera nana ji ne us ladke ko makaan 1 lakh ka bech diya tha, jiske wajeh se wo ab ghar ma humko aana ni deta na hi koi hissa deta ,. na hi makaan bechta, wo kehta ha ki ye makkaan humkao nana, nani ne diya. ab muje ye puchna ha ki kanooni tor par wo makaan khali kasa hoga uske kitne hissa hoge, or hum kiya action le, us paper ko mane pada tha usme na to kisi relative ke sign ha, na hi meri mummy or masi ki noc ha, or jin baccho ko wo palte ha unko wo 20 lakh ka makaan kase 1 lakh ma bech sakte ha, or us wakt us ladke ki umar kewal 16 saal ki thi jis wakt ke usne paper banwa rakha ha, or us paper par kisi wakil ke bhi sign ni ha, wo kewal ek tipwriter na banaye ha, ab muje wo property ko relize karwani ha, plzz help me kase, or m chahta hu ki usko 420 ma saja bhi ho. or ye property delhi ma ha,