Legal notice by bank sec.25 of the payment settlement act 2007

Sir, Jun 2017 me jab Mai HDFC bank cash deposit Karne Gaya tha tab bank employee ne bataya ki apke a/c pe life time free credit card ka offer h aap Lele Mujhe zaroorat ni thi lekin bank employee ke request Karne per Mai taiyaar ho gya.fir unhone bank ke hi credit card department k employee ko Mera online credit card apply Karne ko kaha. Credit card department k employee se bhi online apply karte waqt kisi bhi tarah k charge na hone k baare me pucha tha unhone bhi credit card free hone ki baat batai thi. 1st August 2017 ko jab mere a/c se 561.05 rupya kata to iss bare me Mai bank se pucha to bank ne bataya ki apke credit card pe Oneassist ki ek service suru Hui h jiska 1399 rupya apke a/c se credit card k through Autopay ke zariye 3 instalment me katega jiski pahli kist apke a/c se Kat gai h. Jab Maine credit card department ko bataya to unhone Oneassist service ko band karwane k liye Oneassist k coustomer care pe call karwa ke use band Karne aur kata gya Paisa refund Karne ko kaha. Aisi koi bhi service (Oneassist) suru Karne ki request Maine ni ki thi. Credit card department ke jiss employee ne credit card online apply Kiya tha usi ne Oneassist service ki request pe trike Kiya hoga jiski mujhe bilkul bhi zankari ni thi. Actually Bank ke credit card department ke employee card bechne ke target ko Pura Karne ke liye coustomer se facts ko chupaya jata h jaisa ki mere case me h. Jab se credit card mujhe Mila h tab se (Jun 2017--March 2018)Ab Tak Maine credit card ka pin bhi genrate nahi Kiya h. Chuki 1st August 2017 ko mere a/c se jab 561.05 rupya kata gya to Maine apne a/c me sufficient fund rakhna band Kar Diya taki aur rupya na Kate. iss matter ke bare me Mai 7 baar bank ke chaker lagata Raha aur apni pareshani bank ke Kai employee ko batata Raha lekin pareshani door ni Hui. Aur iss antral me pata ni kaise Mera A/C aaj ki date me -9659.01 ho gya h.Aur haal hi me bank ki traf se mujhe ek legal notice bheja gya h.iss bare me bhi jab Mai bank se pucha to wo setelment department me baat Kar bakaya Paisa jama Karne ko kah rahe h. Maine koi bhi aisa transaction ni Kiya h jiska main bank ka udhaar rahu. Iska pata A/c stetment aur credit card ke stetment se pata chal gayega. Mujhe Kya karna chahiye please Meri help Kar de. Apka Mai Ehshanmand rahunga.