Rasta ke liye jamin chahiye

Sir mera ek sawal hai, sawal yeh hai ki mera ek 70 sal purana ghar hai, jo ki main rasta se lagbhag 25 miter dur, pahle mere ghar ke aage ka land khali tha to isliye mujhe aane jane me koi paresani nhi hoti thi, lekin ab uske aage kisi ne apna ghar bana liya hai or isi wajah se mujhe chalne ke liye rasta nahi hai .jabki mujhe chalne ke liye rasta thoda tha or wo bhi usne jabt kar rakha hai, or jaha thak ki uska jitna land registry hai ussse jyada usne jabt kar rakha hai. Mai to yaha tak ki kaha hu ki jo aap kisi ka jabt kar rakha hai or registry nahi hai wo aap rasta ke liye de do, lekin kon sunta hi nhi hai. Kiya wo jamin mil sakta hai rasta ke liye jo usne registry nahi kara rakha hai. Mai court nahi jana chahta kiyoki waha jamini samadhan to 30 sal bad final hota hai. isi sandarb me maine kai se mila koi mujhe sahi jankari nahi di, koi koi yaha tak kaha ki ab aapko rasta nahi milega chalne ke liye aisa koi law nhi hai, or na koi aisa law section hai. Isliye mai yahi janna chahta hu sabhi advocate se ki sahi me iske liye koi law ya section nahi, agar hai to pls mujhe batao or meri madad karo. Pls pls sir koi solution hai to batao.